Sawaiyon Ki Kheer

 1. Home
 2. All Recipes
 3. Desserts
Sawaiyon Ki Kheer Recipe

Sawaiyon Ki Kheer Recipe

Ingredients

 • 1 litre doodh (milk)
 • 1/4 cup sawaiyan (vermicelli)
 • 1/2 cup khoya
 • 1 tbsp kewra
 • 1/2 cup chawal ka atta (rice flour)
 • 1 cup cheeni (sugar)
 • 4 ilaichi (cardamom)
 • 1 tsp ghee (clarified butter)
 • Garnish ke liye pistay , badam (almonds ,pistachio for garnishing)
 • Chandi ka wark

Directions

Ek pan main ghee garam karke sawaiyon ko fry karen or ek taraf rakh den_
Doodh main ilaihi daal kar ubaal len_
Chawal ka atta thore thande doodh main mix karke channi main chaan len or isse uble hue doodh main daal kar chamcha chalaty hue dubara pakaen_
Ubaal any par halki anch karke chor den_
Jab kheer garhi hojaye to fry ki hoi sawaiyan daal den_or cheeni bhi daal den_
Cheeni ghul jaye to khoya daal den_
Sab cheezen achi tarah mix hojaen to akhir main kewra daal kar dish main nikaal len_
Pistay, badam or chandi ke wark se garnish karke serve karen_:)