Ingredients
- 50 gm chana daal (gram lentils)
- 50 gm masoor daal (pink lentils)
- 50 gm moong daal (moong lentil)
- 50 gm mash daal (white lentils)
- 50 malka masoor daal (brown lentils)
- 2 bareek kati piyaz (onion finely chopped)
- 6 hari mirchen bareek kati (green chili finely chopped)
- 1 tbsp pissi haldi (turmeric powder)
- 1 tbsp kutti laal mirch (red chili crushed)
- Hasb e zarurat sabut garam masala (whole spice as required)
- Hasb e zaeqa namak (salt to tadte)
- 1/2 cup ghee
Ingredients for baghar
- 10 jave bareek kata lehsan (garlic cloves finely chopped)
- Chand curry patay (few curry leaves)
- 1 tbsp sabut safed zeera (white cumin seeds)
- 3 tbsp ghee
Directions
Daalon ko dho kar pani main ek ghantay ke liye rakh den_
Degchi main ghee garam karke piyaz sunehri karen_
Isme daalen, hari mirchen, haldi, laal mirch, garam masala or namak daal kar bhune_
Isme adha cup pani daal kar halki anch par daalon ke galnay tak pakaen_
Frying pan main baghar ke ajza tall kar daal par daal den_
Phir dish main nikaal kar serve karen_:)