Chanay ki daal ka halwa

  1. Home
  2. All Recipes
  3. Desserts
Chanay ki daal ka halwa Recipe

Chanay ki daal ka halwa Recipe

Ingredients

  • 2 cups taza doodh (fresh milk)
  • 250 gm chanay ki daal 3-4 ghantay bhigoi hoi (split bengal gram soaked for 3-4 hours)
  • 2-3 tbsp doodh (milk)
  • 1 cup desi ghee
  • 3-4 hari ilaichi (green cardamom)
  • 1 cup cheeni (sugar)
  • 1/2 tsp ilaichi powder (cardamom powder)
  • 3 tbsp badaam (almonds)
  • 2 tbsp kishmish (raisins)
  • 3 tbsp khopra (coconut desiccated)

Directions

Chanay ki daal ko pani main 3-4 ghantay bhigo den_

Degchi main doodh or chanay ki daal ubal anay tak paka len_
Dhak kar halki anch par chanay ki daal gaj janay or doodh sukh janay tak paka len (takreeban 30-35 minutes) or thanda karlen_

Grinder main daal shamil karke grind karlen_ doodh shamil karke paste bana len_

Karhai main desi ghee garam karen or hari ilaichi daal kar mix karen_
Ab isme chanay ki daal ka past daal kar bhun len yhan tak ke ghee alag hojae or musalsal chamcha chalatay rahen_

Cheeni daal kar musalsal chamcha chalatay rahen yhan tak ke cheeni gal jae_
Ilaichi powder daal kar achi tarah mix karen yhan tak ke ghee alag hojae_

Badam, kishmish or khopra daal kar mix karen_

Chanay ki daal ka halwa tayar hai ab isse serve karen_:)